Wednesday, January 9, 2019

rubbayee by Firaq

Aap dil se mujhe dur ker dijiye
Ya sada ke liye pas aa jayiye
Aap jo chahate hain wo manjur hai
Aap kya chahate hain ye faramayiye

Jis tarah ho munasib chale aayiye
Muntjir hain yahaan mery tanahaayiyaan
Aap akele na aayen ager khauf ho
Sath apne muhhabat liye aayiye

Muhhabbat karate karate bhee wo nafarat karate jaate hain
Mere dil ko jalane ko sharaarat karate jaate hain
Juban pe kuchh aur dil main kuchh ajab andaaj hain unaka
Ki un hun karate karate bhee inaayat karate jaate hain

No comments:

Post a Comment