Wednesday, January 9, 2019

prayer

Mujhe maloom hai mery khudi se kuchh nahin hota
Khuda jab tak na chahe adami se kuchh nahin hota

Sirf tere siwa her ek ko majboor pata hun
Bharosa jis pe karata hun usi se kuchh nahin hota

Wahan tera karam tera bharosa kaam aata hai
Jahan majaboor ho ker adami se kuchh nahin hota

Ye bande bandagi ker ke bhee bande ban nahin paate
Mager hum wadakhane se nikalate hain khuda ban ker

Lillah !Rahamaton se tun apani nawaj de
Sab ko nawajata hai mujhe bhee nawaj de

Maliq tery raza rahe aur tun hee tun rahe
Baqi na main rahun na mery aaraju rahe

Jab koyee bat bigad jaaye jab koyee mushkil pad jaaye
Tum dena sath mera o humnawaj
Na koyee hai na koyee tha jindagi main tumhare siwa
Tum dena sath mera o humnawaj

Jindagi jindadili ka nam hai
Murdadil kya khaq jiyaa karate hain


No comments:

Post a Comment